Ghar ka musafir
……………………………
Yeh sheher jo kabhi apna aaashiyan thha…
Aaj iski tang galiyon mei ek musafir sa bhatak raha hoon…
Sach mei, na jaane kitne musafir aur bhi hain yahaan…
Is bheed mei ek haqeer musafir mei bhi sahi..
.
.
In anjaan chehron mein na jaane dil kisko dhoond raha hai…
Kya yeh chehrein bhi kisiki talaash mei hain?
.
.
.
Woh yaar jinke saath kabhi haseen pal guzrey thhe..
Aaj hame unki koi khabar nahi hai..
Shayad unhe naye yaar mil gaye hain..
Ya phir woh bhi “musafir” ban gaye hain meri tarah..
Unko salaamat rakhna mere parvar digar...
Kya pata unhe tumhari zyada zaroorat ho!
.
.
.
Old Monk ka bhara hua botal ab bhi rakha hai almaari mein..
Aisa nahi hai ki mujhe peene ki talab nahi hai..
Apne parchhai ke saath waqt guzarna mujhe achha lagta hai..
Par darta hoon madhoshi mei khud parchhai naa ban jaaoon!
.
.
.
Kitne “khoobsurat” hain woh log..
Jo sahi galat ke farak ko nazar-andaaz kar..
..yeh kehte hain, “Tu fikar kyun karta hai….. hum hain na!”
Jab baat zindagi par ban aye..
Toh phir kya sahi kya galat!
.
.
.
Mere hone se kisiko farak padta hai..
Yehi mera asli “superannuation” hai!
.
.
.
Qasme vaade beimaane hain/thhe sab..
Zaroori nahi ve zindagi bhar saath de..
Kuchh qasmo ki umra kam hoti hai..
Unke maut ka maatam kyun manaaoon?
Ab naye mazboot iraadon ko janam dena hain mujhe..
Un iraadon ko muqammal karna hai mujhe..
Ab kis baat ka darr hai mujhe..
“Superannuation” ke rehte kaise haar jaaon mein?
.
.
.
Kabhi na tootne wale stainless steel ke bartan..
Par chhan se toot jaye, aise mitti ke bane rishtey..
Facebook par hazaron dost, kisike maut ka publicly karo shok..
Likes ki kabhi na mitney wali yeh bhookh..
Aur haqeeqat mei mohabatt ke bhookh se marta hua rooh..
Aisi duniya ka musafir nahi hoon mei!
.
.
.
Haan, apne hi ghar ka musafir
zaroor hun is waqt...
Par mera aaashiyan “tu” hai mere yaar..
Iski umar bhar hifazat karega yeh musafir!